Sajde Mein Urdu Dua aur Naam Lene ka Hukum
Question
Kya tahajjud main sajday main urdu zuban main dua karsakhtay hain or like yeh bhi kay agar kisi specific banday ko mangna ho dua main halal tareeqa say tou kya tareeqa hai or uss ka name la sakhtay sajday main?
Islamic Ruling & Answer
Verified(1) Tahajjud ya kisi bhi namaz ke sajde mein Urdu ya kisi ghair-Arabic zaban mein dua karna jaiz nahi.
Agar jaan-boojh kar ghair-Arabic kalam kaha to namaz fasid ho sakti hai.
(2) Sajde mein kisi specific shakhs ka naam lekar dua karna jaiz hai, agar maqsad halal (nikah) ho.
Dua yun karein:
“Ya Allah, agar falan shakhs mere liye deen o duniya mein behtar ho to nikah asaan farma de.”
Lekin dua Arabic mein ho (kyunki namaz ke andar ghair-Arabic jaiz nahi.
Behtar ye hai k namaz ke baad apni zaban me dua karlein taki namaz fasid na ho
Answered by
Mufti Tosif Qasmi
February 21, 2026
Related Questions
Witr mistake & salam doubt — Is prayer valid?
Masah waived due to injury
Ignoring waswas (Doubts) about purity in daily life
Rulling of doubts
Is istinja valid without hands?
Boxers visible in salah?