Can a Wife Ask for Divorce If Her Husband Marries Again?
Question
Salam. Me ye janna chahti hoo k agr ek shadi shuda zindagi me ap khush na hoo or iski wajah apk shohr ka dosri shadi krna hai to kya apne apko takleefo se rihai Diane k lye talaq ka mutalba kr skte hain
Islamic Ruling & Answer
Walekumussalam,
Wazeh rahe ke Shari'at-e-Mutahharah ne mard ko chaar tak shadiyan karne ki ijazat di hai, bashart yeh ke woh maali istita'at rakhta ho aur jismani taur par huqooq-e-zaujiyat ada karne ki qudrat rakhta ho. Mard ek se zyada shadi karne mein biwi ya kisi doosre shakhs ki ijazat ka paband nahin. Albatta behtar yeh hai ke doosri shadi karte waqt pehli biwi ko aitimad mein le le, taake aindah ki zindagi pur-sukoon aur khushgawar guzre.
Aur doosri shadi ke baad saari tawajju ek biwi ki taraf karna aur doosri biwi ko tang karna nihayat gunah ka sabab hai. Ahadees-e-Mubarakah mein is par sakht wa'eed aayi hai.
سنن ابی داؤد میں ہے:
"عن أبي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال: “من كانت له امرأتان، فمال إلى إحداهما جاء يوم القيامة وشقه مائل.”
Rasulullah ﷺ ne irshad farmaya: “Jis shakhs ki do biwiyan hon aur woh un mein se ek ki taraf zyada mailan ikhtiyar kare, to woh Qiyamat ke din is haal mein aayega ke us ka ek pehlu jhuka hua hoga.”
(Bab fi al-Qasm bain an-Nisa, Jild: 3, Safha: 469, Matba' ar-Risalah)
Is liye shohar par lazim hai ke ikhtiyari umoor (naan-o-nafaqah, shab-bashi aur waqt ki taqseem waghairah) mein musawat ka khayal rakhe.
Answered by
Daurah-e-Hadith (Fazil), Darul Uloom Deoband · Specialization in Fiqh & Ifta (Grade A), Jamea Tul Hidaya, Jaipur
June 28, 2026
Researched & verified under our editorial & answer-review policy.
Related Questions
Is Iddah Required After Divorce Before Rukhsati?
Can a Non-Mahram Sleep in the Same Room as You?
Can I Help My Brother Financially After Fulfilling My Family’s Needs ?
Is It Permissible to Live Separately to Protect My Children's Islamic Upbringing?
Can a Muslim Woman Wear Loose Pants and a Long Shirt as Hijab?
کیا گواہوں کے بغیر یا ایجاب و قبول سنے بغیر نکاح صحیح ہوتا ہے؟
Support AskMuftiOnline
Your contribution helps scholars answer more questions and keeps this platform free for everyone.
Contribute Now